Is safar meh mujhe ek ajnabee mila

Is safar meh mujhe ek ajnabee mila
Jaate huye keh rha hun tu ajnabee na rha
Bikhra mila tha mujhe bheed meh tu kahi
Hath thame chal pade jaise ek hi manzil ho apni


Honto peh muskaane, nazar apni thirchi
Sath hi bigde, hasse aur roye, naapi har doh pal ki khushi
Yaadien banti gayi joh akele meh lipte mujhse
Harkate aesi, haste sunaye dono sang bewakoofi ke kisse


Safar ke tehraav meh aandiya zaroor thi
Ek dusre ki dhaal bane woh bhi paar kargaye
Par beech meh kahi mera yaar bichad gaya
Mila toh gale laga aur aansuo meh simat gaye


Sapne se is safar ki khubsoorti hai apni yaari
Taqleefo meh jude rahe pade sab peh yuhhi bhaari
Modd aagaya jahan kehna padega alvida tujhe
Dua karu is banjaare tu hi fir humsafar mile
Is safar meh mujhe tu ajnabee mila, jaate hue keh rha hun tu ajnabee na rha

Leave a comment